Maula!!!!!! Maula!!!!!! Maula!!!!! Maula!!!!!! (4 times)
Yun hi anjaan raahon pe
Mein yun tad-badar bhattakta raha
Tujhse hi door jaate hue
Mein pal-pal guttke marta raha
Dunya hai yun zaalim badi
Mujhko yun gumraah karti rahi
Tujhse yun door le jaati rahi
Na jaane jis mod pe yun le si gayi
Tune tab bi mera saath na chhoda…
Tune tab bi mera saath na chhoda
Apne farishtey ko phir bi hai bheja
Zindagibhar karun yun shukriyada tera
Tu phir na hone de mujhe phir gumraah
Raza bi teri
Qaayenaat bi teri
Dunya bi teri
Qayaamat bi teri
Hifaazat karne wala bi tu
Maghfirat farmaane wala bi tu
Rahm karne wala bi tu
Laaj rakhne wala bi tu
Koi na samjhe bejaan rooh ki thakkan ko…
Koi na samjhe bejaan rooh ki thakkan ko
Koi na dekhe tere bande ki tuttan ko
Dunya yun gawara na samjhe
Zakhmon ko phir bi aur khureddti rahi
Ghaavon ko yun phir badaati rahi
Bejaan rooh ko aur yun maarti rahi
Tutte bande ko aur bi todti rahi
Un zakhmon se phir khoon yun behta hi raha….
Un zakhmon se phir khoon yun behta hi raha
Dunya ne use rokna gawara hi na samjha
Banda yun phir pal-pal tutt tha raha
Khoon ke aur behne se woh marta raha
Tune phir bi uski hifaazat hai ki…
Tune phir bi uski hifaazat hai ki
Zakhmon pe yun marham hai lagayi
Ghaavon ko aur badhne se roka
Uski thakkan ko hai sukoon diya
Tuttan ko tune hi hai yun samjha
Uske khoon ko aur behne se roka
Apne bande ko yun phir panaah diya
Usko apne nazdeek phir hai laaya
Zindagibhar rahun mein teri hi ghulam
Zindagibhar rahun mein teri hi ghulam